is be tulua shab mein kya talea-azmai khurshid lakh ubhre lekin sahar na aai kab tak fareb-e-jada kab tak ghubar-e-manzil ai dard-e-na-tamami ai ranj-e-narsai har gul ka chaak sina gulzar aafrina ab ke ajab khazina teri bahaar lai sahil pe khema-kash hain aasudgan-e-sahil tufan kar rahe hain kashti ki na-khudai har aah kah rahi hai ek dard ka fasana har ashk likh raha hai ek qissa-e-judai sahba kahan hai yaro koi use pukaro viran ho raha hai kunj-e-ghazal-sarai