is but ke har fareb pe qurban se rahe

is but ke har fareb pe qurban se rahe
ek umr apne mitne ke saman se rahe

us jaan-nawaz kuche mein hum bhi rahe magar
be-dil kabhi rahe kabhi be-jaan se rahe

rindan-e-mai-kada hain ki tang aa ke uth gae
yaran-e-mai-kada hain ki anjaan se rahe

us mein chaman ka rang na is mein chaman ka rup
hum bu-e-gul se aaj pareshan se rahe

lab si liye jo khanda-e-yaran ke khauf se
barson hamare sine mein tufan se rahe

ye jaan aisi chiz hai kya phir bhi ham-nashin
hum un pe jaan de ke pasheman se rahe

gulshan mein josh-e-gul to bagula hain dasht mein
ahl-e-junun jahan bhi rahe aan se rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close