is chaman-zar ko sahra na banao yaro apne hathon se nasheman na jalao yaro chot lagte hi bikhar jaega aaina-e-dil sang-dil mat bano patthar na uthao yaro us ne chaha to liya kaam ababilon se us ke darbar mein sar apna jhukao yaro darj tarikh ke auraq mein hona hai tumhein is qadar khud ko na majbur banao yaro azmat-e-khak-e-watan par na kahin harf aae hai watan khatre mein ab hosh mein aao yaro mujh ko hai khauf ki aansu na baras jaen kahin shisha-e-dil ko na tum thes lagao yaro dube kashti na kahin 'dagh' ke armanon ki bahr-e-jazbaat mein tufan uthao yaro