is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai jina bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai ab waqif-e-mafhum-e-wafa qalb-e-hazin hai ab aap ki bedad bhi bedad nahin hai tum aur meri khana-kharabi pe tabassum ummid se badh kar abhi qadr-e-dil-o-din hai ya tere siwa husn hi duniya mein nahin tha ya dekh raha hun ki jo manzar hai hasin hai ye zist hai ya maut samajh mein nahin aata ab dard hai aur dard ki taklif nahin hai