is dasht-e-be-panah ki had par bhi khush nahin main apni khwahishon se bichhad kar bhi khush nahin ek sarkhushi muhit hai chaaron taraf magar basti mein koi shakhs koi ghar bhi khush nahin kitne hain log khud ko jo kho kar udas hain aur kitne apne-ap ko pa kar bhi khush nahin ye kaifiyat ghulam nahin qaid-o-band ki andar jo apne khush nahin bahar bhi khush nahin sahil ki bhigi ret pe chalta barhana-pa main hun udas aur samundar bhi khush nahin