is daur-e-jahl mein ye siyasat fasad hai har su hai ikhtilaf kahan ittihad hai puja ho ya namaz ho sab hain ibaadaten hum sab hain bhai bhai na hargiz tazad ho hargiz na tum jihad kaho mar-kat ko lad jaana apne nafs se asli jihad hai shane se shana jod mila kar chalo qadam 'haidar' suno isi mein hamara mafad hai