is daur mein aisa koi insan nahin hai

is daur mein aisa koi insan nahin hai
jo sozish-e-pinhan se pareshan nahin hai

le dubi tamanna-e-guhar mujh ko bhi yaro
dariya se ubharne ka ab imkan nahin hai

hum par hi bas ilzam laga jalte dinon ka
ek talkh haqiqat hai ye bohtan nahin hai

har gam pe hai dil ke luteron ka basera
is rah pe chalna koi aasan nahin hai

ehsas ke sahil pe khada soch raha hun
lafzon ke samundar mein wo tufan nahin hai

bhanwre to bahut chaw se phir aate hain 'anjum'
aur aaj meri mez pe gul-dan nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close