is doshiza mitti par naqsh-e-kaf-e-pa koi bhi nahin jhadte phul barasti barish tez hawa koi bhi nahin ye diwaren aur darwaze sab aankhon ka dhoka hai kahne ko har bab khula hai aur khula koi bhi nahin chehre jaane-pahchane the ruhen badli badli thin sab ne mujh se hath milaya aur mila koi bhi nahin ek se manzar dekh dekh kar aankhen dukhne lagti hain is raste par ped bahut hain aur hara koi bhi nahin udta baadal chehre bunta aur mitata jata hai lakhon aankhen dekh rahi thin lekin tha koi bhi nahin jis ke bich ghira baitha hun dher hai bite lamhon ka sab meri jaanib aae hain aur gaya koi bhi nahin jalti mitti sukhe kante gahre pani tikhe sang sab khatre panw ke niche sar pe bala koi bhi nahin harf likhun to padhne wale kya kya nauhe sunte hain kan dharun to in harfon mein saut-o-sada koi bhi nahin