is jagmagate shahr mein sadkon ki raushni kuchh dur to zarur meri ham-safar rahi kaghaz ke chand purzon mein ghairat bhi bech di majbur kar rahi thi bahut us ko muflisi bahar nagar ke dhundhti phirti thi sham se wo tirgi hayat ke sanche mein dhal gai muddat ke ba'd aaina dekha tha bhul se apni hi shakl aaj mujhe ajnabi lagi meri wafaon se to shikayat hai aap ko apne suluk par bhi nazar kijiye kabhi