is ke jo jo ki fawaed hain KHud dekhte jao

is ke jo jo ki fawaed hain khud dekhte jao
sach kaha hai ye kisi ne ki piyo aur pilao

zabt sarkar mein hone ke liye chhod na jao
khub hi khao zar-o-mal ko aur khub udao

tum mein aur ghair mein jo shab ko hui hai sohbat
khud kahe deta hai wo aap ki aankhon ka jhukao

baithne ke nahin qabil ye sara-e-viran
yan se toshe ke uthane ke ewaz naw uthao

main hun makhmur mujhe tab kahan han saqi
saf ho durd ho jaldi se jo mil jae to lao

nahin bimar ko taklif zyaada dete
apni aankhon ko mere samne itna na jhukao

dil mein aa baithiye aur sair-e-do-alam kije
hai bahut dur ka us manzil-e-viran se dikhao

munh se gar baat nikal jae to aafat aa jae
jo kahin chupke sune jao zaban ko na hilao

main kahan aur kahan raat ka aana par han
tere ghar se to bahut ghair ke ghar ka hai lagao

ukhde jate hain qadam dekh wahan ki rangat
apna is dar pe hua hai na kabhi hoga jamaw

dil ki aabaadi ki ab fikr hai bilkul nahaq
ab to yan roz hi hota hai sipah-e-gham ka padaw

baad ek umr ke gar arz-e-tamanna kije
wo bigad kar yahi kahte hain ki baaten na banao

garche ye jhut fasana hai wale hai dilchasp
kahte hain apni kahani mujhe tum roz sunao

hun agar us ke ewaz nim-nigah ka khwahan
hans ke kahte hain ki kuchh qimat-e-dil aur ghatao

awwal-e-ishq hai dil kab hai samajhne wala
abhi zoron pe hai is bahr par aafat ka chadhao

haal bhi kahte agar hosh thikane hote
yan to hairat hai ki tum aur mujhe puchhne aao

dam nikalne ka alam kis se saha jata hai
harf tum jaane ka ai jaan zaban hi pe na lao

un ko to pas-e-mohabbat nahin aslan lekin
nibh sake tum se agar hazrat-e-dil aur nibhao

zakhm-e-hijran ki nahin aur to duniya mein dawa
mundamil wasl ke marham se to hota hai ye ghaw

kab use dida-e-tar dawa-e-ham-chashmi hai
aath aath aansu na tum abr-e-bahaari ko rulao

un ke aane ke tasawwur mein yahi kahta hun
ai shab-e-wada na ho subh wo karte hain banaw

wan khapat hi nahin kya jins-e-wafa le jaen
un ki sarkar mein ek jaur-o-sitam ka hai banaw

ab ho 'majruh' mohabbat se bahut ghabraate
hum to pahle hi ye kahte the ki dil ko na lagao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close