is ke kuche mein masiha har sahar jata raha be-ajal wan ek do har raat mar jata raha ku-e-jaanan mein bhi ab is ka pata milta nahin dil mera ghabra ke kya jaane kidhar jata raha jaanib-e-kohsar ja nikla jo main to kohkan apna tesha mere sar se mar kar jata raha ne kashish mashuq mein pata hun nai aashiq mein jazb kya bala aai mohabbat ka asar jata raha wah-re andher bahr-e-raushni-e-shahr-e-misr dida-e-yaqub se nur-e-nazar jata raha nashsha hi mein ya ilahi mai-kashon ko maut de kya guhar ki qadr jab aab-e-guhar jata raha ek na ek munis ki furqat ka falak ne gham diya dard-e-dil paida hua dard-e-jigar jata raha husn kho kar aashna hum se hua wo naunihaal pahunche tab zer-e-shajar hum jab samar jata raha ranj-e-duniya se faragh iza-dahindon ko nahin kab tap-e-shir utri kis din dard-e-sar jata raha fatiha padhne ko aae qabr-e-'atish' par na yar do hi din mein pas-e-ulfat is qadar jata raha