is kharabi ki koi had hai ki mere ghar se sang uthae dar-o-diwar nikal aate hain kya qayamat hai ki dar-qafila-e-rahraw-e-shauq kuchh qayamat ke bhi hamwar nikal aate hain itna hairan na ho meri ana par pyare ishq mein bhi kai khuddar nikal aate hain is qadar khasta-tani hai ki gale milte hue us ki banhon se bhi hum par nikal aate hain juz tere khud bhi main taslim nahin hun khud ko dil se puchhun bhi to inkar nikal aate hain