is numaish-gah mein kab tak hawas-kari karun

is numaish-gah mein kab tak hawas-kari karun
koi tohfa le ke ghar chalne ki tayyari karun

sikka-e-ja'li ko apni aastin hi mein rakhun
rah ke andhe bhikari se na 'ayyari karun

jahilon ke shahr mein sab se bada jahil hun main
kyon na apne nam ka sikka yahan jari karun

sahiban-e-shahr mein itni jasarat bhi kahan
ye bhi neki hai jo iqrar-e-gunahgari karun

jism us ki god mein ho ruh tere ru-baru
fahisha ke garm bistar par riya-kari karun

ya-khuda wo zindagi ki aakhiri hi raat ho
koi majburi na ho aur khud se ghaddari karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close