is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho thak gae ho to mere kandhe pe bazu rakkho bhulne pae na is dasht ki wahshat dil se shahr ke bich raho bagh mein aahu rakkho khushk ho jaegi rote hue sahra ki tarah kuchh bacha kar bhi to is aankh mein aansu rakkho raushni hogi to aa jaega rah-raw dil ka us ki yaadon ke diye taq mein har-su rakkho yaad aaegi tumhaari hi safar mein us ko us ke rumal mein ek achchhi si khushbu rakkho ab wo mahbub nahin apna magar dost to hai us se ye ek talluq hi bahar-su rakkho