is rah-e-talab mein main ai dil jata hun kahan malum nahin

is rah-e-talab mein main ai dil jata hun kahan malum nahin
apna bhi pata malum nahin manzil ka nishan malum nahin

hum lakh chhupaenge ai dil is jazb-e-mohabbat ko lekin
ai josh-e-junun phir aati hai kyon lab pe fughan malum nahin

baaten kuchh un se aisi huin hum aql-o-khirad sab kho baithe
qissa ko bayan karne ke liye andaz-e-bayan malum nahin

samjha tha bahaaren hi hongi gulshan mein hamesha chaaron taraf
shayad ki tujhe barq-e-larzan andaz-e-khizan malum nahin

allah re shauq-e-gul-bosi itna bhi nahin hai mujh ko pata
kanton mein ulajh kar bhi khush hai kyon meri zaban malum nahin

har bar bhulaun main lekin ai ru-e-hasin zulf-e-mushkin
jata hai dil-e-pur-shauq-talab kyon su-e-butan malum nahin

aahon se use taskin nahin ashkon se 'nasim' ab chain nahin
kya chiz bhala phir chahta hai ye qalb-e-tapan malum nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close