is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen hum sitaron ne ye socha hai ki hijrat kar jaen daulat-e-khwab hamare jo kisi kaam na aai ab kisi ko nahin milne ki wasiyyat kar jaen dahr se hum yunhi be-kar chale jate the phir ye socha ki chalo ek mohabbat kar jaen ek zara waqt mayassar ho to aa kar mere dost dil mein khilte hue phulon ko nasihat kar jaen un hawa-khwahon se kahna ki zara sham dhale aaen aur bazm-e-charaghan ki sadarat kar jaen dil ki ek ek kharabi ka sabab jaante hain phir bhi mumkin hai ki hum tum se murawwat kar jaen shahr ke baad to sahra tha miyan khair hui dasht ke par bhala kya hai ki wahshat kar jaen reg-e-dil mein kai nadida parinde bhi hain dafn sochte honge ki dariya ki ziyarat kar jaen