is sulagte shahr mein sae kahan

is sulagte shahr mein sae kahan
barf ki sil dhup mein jae kahan

aabla-pai hai jalti ret hai
is zamin ke sar pe ab sae kahan

wo palat aaega duniya dekh kar
koi us ki khoj mein jae kahan

khun ubalta hai jahan khodo zamin
ghar kaho wo shakhs banwae kahan

tazkire jis ke hain sare shahr mein
koi us ko hum se milwae kahan

jo khule mausam mein bhi milta nahin
barishon mein mere ghar aae kahan

jo hua apni ana se khud halak
qatl-gahon se wo ghabrae kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close