is taraf se guzre the qafile bahaaron ke

is taraf se guzre the qafile bahaaron ke
aaj tak sulagte hain zakhm rahguzaron ke

khalwaton ke shaidai khalwaton mein khulte hain
hum se puchh kar dekho raaz parda-daron ke

gesuon ki chhanw mein dil-nawaz chehre hain
ya hasin dhundlakon mein phul hain bahaaron ke

pahle hans ke milte hain phir nazar churaate hain
aashna-sifat hain log ajnabi dayaron ke

tum ne sirf chaha hai hum ne chhu ke dekhe hain
pairahan ghataon ke jism barq-paron ke

shughl-e-mai-parasti go jashn-e-na-muradi tha
yun bhi kat gae kuchh din tere sogwaron ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close