is tarah duniya mein dil ko mahram-e-gham kijiye jab khushi koi mayassar ho to matam kijiye ishq se phir silsila jumbani-e-gham kijiye zindagi par maut ko pahle muqaddam kijiye husn ki jaanib nigah-e-shauq ya kam kijiye ya nigah-e-shauq ko ek ahd-e-mohkam kijiye maut ka kya maut ka to sau tarah gham kijiye zindagi nashad ka kis tarah matam kijiye dekh kar ahl-e-tarab ka saz-o-saman-e-tarab bad-nasibon ka zara andaza-e-gham kijiye jaane kis aalam ki hasrat mein hain nazren muztarib warna kya nazzara-e-husn-e-do-alam kijiye ab junun ki sarhadon se aa mila hai josh-e-ishq kuchh samajh kar ab nigah-e-husn barham kijiye ahl-e-ishrat apni bazm-e-aish-o-ishrat ke qarib ehtiyatan munaqid ek bazm-e-matam kijiye aansuon ka ponchhne wala hi jab koi na ho aah kis ummid par aankhon ko pur-nam kijiye gham ko hone dijiye ho jis qadar manus dil dil ko jitna ho sake begana-e-gham kijiye phir qafas se laut kar aae chaman mein phir wahi aashiyan ke waste tinke faraham kijiye hain nigahon ki hadon se dur abhi bebakiyan shokh chitwan se ghurur-e-husn ko kam kijiye ta-kuja aawara-e-nazzara chashm-e-husn-e-dost jama ek markaz pe kyun kar husn-e-alam kijiye har khushi ne is natije par hamein pahuncha diya jab khushi koi mayassar ho to matam kijiye aarzu se badh ke dushman koi insan ka nahin jis qadar mumkin ho 'bismil' aarzu kam kijiye