is tarah eatibar karte rahe sari hasti nisar karte rahe dil jalaya kiye diye ki jagah ranj-o-gham aashkar karte rahe meri chahat ko aazmaya kiye be-rukhi ikhtiyar karte rahe hum to ahd-e-wafa nibhaya kiye wo hamein sharmsar karte rahe un se izhaar-e-gham gunah hi sahi hum use bar bar karte rahe kaisa wada kiya tha aane ka aaj tak intizar karte rahe phul kumhla gae chaman ke magar log jashn-e-bahaar karte rahe hum tadapte rahe 'ada' har dam chashm-e-gham ashk-bar karte rahe