is tarah gesu-e-shab-gun hain ruKH-e-jaanan ke pas

is tarah gesu-e-shab-gun hain rukh-e-jaanan ke pas
jaise chhai ho ghata kali mah-e-taban ke pas

is tarah hai aankh ki gardish tere mizhgan ke pas
phirte hain jis tarah aahu tir ke paikan ke pas

raat din rahti hain zulfen is tarah rukh ke qarib
jis tarah rahte hain kafir sahab-e-iman ke pas

aa gaya hai kya abhi se mausam-e-fasl-e-bahaar
kis liye jaane laga dast-e-junun daman ke pas

pas aankhon ke tere rukhsar kab hain gul-badan
hain gul-e-lala shagufta nargis-e-hairan ke pas

rashk-e-yusuf khat hai yun tere zanakhdan ke qarin
karwan jis tarah utra ho chah-e-kanan ke pas

kyon adu ke pas le jate ho mujh ko dosto
kaam kya insan ka batlao to hai shaitan ke pas

ghar ko dushman ke lagana aag ka ai shoala-ru
kuchh nahin mushkil hamare sozish-e-pinhan ke pas

kis liye 'khanjar' ko pas aane se tum karte ho mana
aakhir insan hi to aata jata hai insan ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close