is tarah hum ko ja-ba-ja kije apni yaadon mein mubtala kije sab hi matlab ke yar hain jaanan koi apna nahin hai kya kije ishq walon ki shart aisi hai apni surat ko chand sa kije phone par baat khub kar li hai ab to milne ka hausla kije koi to hal zarur niklega talkh mauzua pe mashwara kije zindagi kahte ek tamasha hai apna kirdar bas ada kije hum ne bas ek umid bandhi hai kam se kam aap kuchh naya kije mil ke hijr-o-visal sahna hai ham-safar apna ham-nawa kije apna mafhum aap ko dunga aap bas sher kah diya kije