is tarah karte hain kuchh log badai us ki khalq us ki hai khuda us ka khudai us ki kya khabar thi ki yahin wasl ke sae ke qarib dhup ke beach padi hogi judai us ki le gae shauq se marhum ki har shai ahbab chhod di taq ke upar hi achchhai us ki ki hai iflas mein doshiza-e-ummid jawan ab to bas baith ke khani hai kamai us ki zindagi katti hai donon ki musalsal zid mein qaid hai meri wahi jo hai rihai us ki mo'atabar nam tha wo phir bhi hawala na diya jaan bachane ko qasam jhuti na khai us ki zindagi sari ganwa dun ye zaruri to nahin ye bahut hai ki koi baat nibhai us ki ye mohabbat nahin kuchh aur hai surat 'shahin' tum maza le ke jo sunte ho burai us ki