is tarah ki bhi kai moajiz-numa amsal de

is tarah ki bhi kai moajiz-numa amsal de
chaar din ki zindagi mein hijr ke sau sal de

aa meri aaghosh mein be-sakhta sar rakh ke ro
aa mere kashkol mein sara samundar dal de

sham ki dahliz par girte hue khurshid ko
tu karishma-saz hai to kal sahar tak tal de

zindagi mein ek izafi bojh hun tere liye
ho sake to maut ke raste mein mujh ko dal de

aa meri mayyat ke sirhane koi hangama kar
jag dhamalen dalta hai tu zara si tal de

zard patton ke dahan se ek luqma chhin kar
ai mere raaziq meri ghurbat ke aage dal de

raat ke pichhle pahar ek martaba mere liye
wasl ki mangi dua phir baddua sau sal de

main sar-e-taslim kham karta hun lekin ye nahin
wo bashar ko mar ke kutte ke aage dal de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close