is tarah se kuchh miTae dard-e-dil

is tarah se kuchh mitae dard-e-dil
maut ki surat dikhae dard-e-dil

ab nishan-e-dil bhi mil sakta nahin
dekhni hai intiha-e-dard-e-dil

dil ki haalat ghair hoti hai to ho
hum na mangenge dawa-e-dard-e-dil

puchhte kya ho mere dil mein hai kya
kuchh nahin is mein siwa-e-dard-e-dil

dard-e-dil ka khak wo jaane maza
jo nahin hai mubtala-e-dard-e-dil

khud masiha bhi hai is se be-khabar
bandh gai kaisi hawa-e-dard-e-dil

ho gae 'be-zar' hum taswir-e-marg
tha yahi to mudda'a-e-dard-e-dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close