is waste niklun hun tere kuche se bach bach

is waste niklun hun tere kuche se bach bach
har ek machata hai mujhe dekh ke kach-kach

nairangi-e-qudrat ka wahi did kare hai
pani ki tarah ho jo har ek rang mein rach-rach

sar par se to mandil ko ab dur kar ai shaikh
gardan teri is bojh se ab karti hai lach-lach

nadan hai aisa ki jo dushman mere haq mein
jhuti use kahte hain to wo jaane hai sach sach

maktab mein jo ki sair to dekha ye tamasha
mulla ke bhi shagird hain murghe ke se kach-kach

zar howe to mashuq bhi hath aawe hai 'hatim'
muflis abas is fikr mein ji dewe hai nach-nach


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close