ise main aur ye mera asa hi tai karega ye rah-e-ishq mera hausla hi tai karega shab-e-siyah ke daman mein hain guhar kya kiya nasib wale! tera ratjaga hi tai karega samundaron se mah-e-chaar-dah ka khel hai kya koi khiladi koi mah-laqa hi tai karega hamara dil hai kisi kaam ka ki nakara ye amr aaj ki kal dil-ruba hi tai karega hain shisha-kash hamein kya kaam kar-e-duniya se ye rah-e-sakht koi dusra hi tai karega ilaj un ka, jo hain is zamin ka bojh, miyan! koi kharosh koi zalzala hi tai karega jo haal-mast hain gam-karda-rah bhi unhen kya ki road-map koi dusra hi tai karega bajae khwaj-gan masnad-nashin hon khwaja-sara to masala koi khwaja-sara hi tai karega ilaj kya ho shaghaalon ka bad-sagalon ka ye sher-e-nar ka koi hamhama hi tai karega tamam shahr ki jab be-hisi ho sikka-e-waqt to mol-tol koi maskhara hi tai karega ye tai hua hai ki sher o adab ke paimane hamare shahr ka ek yak-fana hi tai karega mujhe halak kiya kis ne aur kyun kis waqt ye sab muamla roz-e-jaza hi tai karega