ishq asir-e-taghayyuraat nahin ye wo din hai ki jis ki raat nahin pas jab tum nahin hayat nahin mujh ko ehsas-e-kaenat nahin ishq ki zindagi mein gham hi sahi sadgi hai takallufat nahin etibar-e-nazar badha jab se eatibar-e-tajalliyat nahin iltifat-e-nazar to hai lekin ab wo andaz-e-iltifat nahin tum har ek rang mein ho jalwa-numa koi qaid-e-tayyunat nahin kitne parde nazar ke hail hain ab yaqin-e-mushahidat nahin aise zauq-e-nazar ki kya hasti gar shuur-e-tajalliyat nahin yun chhupata hun dard-e-dil un se jaise ye un ke dil ki baat nahin main agar tark-e-arzu kar dun phir koi maqsad-e-hayat nahin ye hawaen ye phul ye kaliyan har nazar ke tasarrufat nahin 'sajid' apna ye sajda-e-maqbul kuchh ye qaid-e-tayyunnat nahin