ishq jab mail-ba-ulfat ho gaya husn paband-e-hidayat ho gaya tum ne kya ek bar surat dekh li aaina bhi khubsurat ho gaya tum ne jab dahliz par rakkha qadam bas wo lamha shubh mahurat ho gaya jaante hain wo sanwarne ka hunar har musawwir mahw-e-hairat ho gaya kaam par jaane laga mazdur bap ahl-e-khana ki zarurat ho gaya farq jab uttha to diwaren uthi aasman itna jhuka chhat ho gaya bat gaya 'rashid' dilon mein jab samaj dusron ka ranj rahat ho gaya