ishq jab zamzama-paira hoga husn khud mahw-e-tamasha hoga sun ke aawaza-e-zanjir-e-saba qafas-e-ghuncha ka dar wa hoga jaras-e-shauq agar sath rahi har-nafas shahpar-e-anqa hoga daim aabaad rahegi duniya hum na honge koi hum sa hoga kaun dekhega tulu-e-khurshi zarra jab dida-e-bina hoga hum tujhe bhul ke khush baithe hain hum sa bedard koi kya hoga phir sulagne laga sahra-e-khayal abr ghir kar kahin barsa hoga phir kisi dhyan ke sad-rahe par dil-e-hairat-zada tanha hoga phir kisi subh-e-tarab ka jadu parda-e-shab se huwaida hoga gul-zaminon ke khunuk ramnon mein jashn-e-ramish-gari barpa hoga phir nai rut ka ishaara pa kar wo saman-bu chaman-ara hoga gul-shab-tab ki khushbu le kar ablaq-e-subh rawana hoga phir sar-e-shakh-e-shua-e-khurshid nikhat-e-gul ka basera hoga ek sada sang mein tadpi hogi ek sharar phul mein larza hoga tujh ko har phul mein uryan sote chandni-raat ne dekha hoga dekh kar aaina-e-ab-e-rawan patta patta lab-e-goya hoga sham se soch raha hun 'nasir' chand kis shahr mein utra hoga