ishq ka rog bhala kaise palega mujh se qatl hota hi nahin yar ana ka mujh se garm pani ki nadi khul gai sine pe mere kal gale lag ke badi der wo roya mujh se main batata hun kuchh ek din se sabhi ko kam-tar sahibo uth gaya kya mera bharosa mujh se ek tera khwab hi kafi hai mere udne ko rashk karta hai meri jaan parinda mujh se yak-ba-yak dub gaya ashkon ke dariya mein main bandh yaadon ka teri aaj jo tuta mujh se kisi patthar se dabi hai meri har ek dhadkan sikh lo zabt ka jo bhi hai saliqa mujh se koi darwaza nahin khulta magar jaan meri baat karta hai tere ghar ka daricha mujh se bujh gaya main to ghazal padh ke wo jis mein tu tha par hua bazm ki raunaq mein izafa mujh se