ishq ki jot jagane mein badi der lagi sae se dhup banane mein badi der lagi main hun is shahr mein takhir se aaya hua shakhs mujh ko ek aur zamane mein badi der lagi ye jo mujh par kisi apne ka guman hota hai mujh ko aisa nazar aane mein badi der lagi ek sada aai jharoke se ki tum kaise ho phir mujhe laut ke jaane mein badi der lagi bolta hun to mere hont jhulas jate hain us ko ye baat batane mein badi der lagi mere arse mein koi sahl na tha kar-e-sukhan ek do sher kamane mein badi der lagi main sar-e-khak koi ped nahin tha 'tabish' is liye panw jamane mein badi der lagi