ishq ki mearaj un ki thokaren khane mein hai kucha-e-jaanan ki musht-e-khak ban jaane mein hai jama-e-hasti nazar ke tane aur bane mein hai dekh lo kitni haqiqat mere afsane mein hai wusat-e-kaunain bakhshi arsh ka rutba diya kaisi gunjaish ilahi dil ke paimane mein hai mah-rukhon ki toliyan aati rahin jati rahin ek aalam hu ka mere dil ke virane mein hai rakh ke jis ko shaikh ne pi thi kabhi nam-e-khuda bais-e-barkat wahi dastar mai-khane mein hai saya-e-diwar ki surat main dhal jata wahin do ghadi umr us gali se aane aur jaane mein hai naz farmae shabab ai nayyar-e-taban-e-husn tar chandi ka teri kanghi ke dandane mein hai apni si chal kar na hogi khatm bazi-e-hayat ai bisat-e-zindagi kah mat kis khane mein hai