ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya khud-ba-khud ghabra ke qadmon mein zamana aa gaya jab khayal-e-yar dil mein walehana aa gaya laut kar guzra hua kafir zamana aa gaya khushk aankhen phiki phiki si hansi nazron mein yas koi dekhe ab mujhe aansu bahana aa gaya ghuncha o gul mah o anjum sab ke sab bekar the aap kya aae ki phir mausam suhana aa gaya main bhi dekhun ab tera zauq-e-junun-e-bandagi le jabin-e-shauq un ka aastana aa gaya husn-e-kafir ho gaya aamada-e-tark-e-jafa phir 'asad' meri tabahi ka zamana aa gaya