ishq mein aisi karamat kahan thi pahle

ishq mein aisi karamat kahan thi pahle
aap ke husn mein ye baat kahan thi pahle

ab ye surat hai ki imkan hi nahin furqat ka
un se din-raat mulaqat kahan thi pahle

aks ne dekh liya husn ko aaine mein
ishq mein aisi karamat kahan thi pahle

rang laya hai ye us gul ka tasawwur shayad
warna rangini-e-jazbaat kahan thi pahle

aql ras aa na gai ho tere diwane ko
fikr-e-na-sazi-e-haalat kahan thi pahle

naghme tere hain magar hain mere honton pe rawan
meri har baat teri baat kahan thi pahle

dhal gaya ishq bhi ab husn ke sanche mein 'sahab'
bazi-e-zist mein yun mat kahan thi pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close