ishq mein be-naqab hain hum log aap apna jawab hain hum log hum ko sabr-o-sukun se kya nisbat khugar-e-iztirab hain hum log jin se qaem hai zindagi ka jamal wo sarapa shabab hain hum log nazm-e-duniya badal diya hum ne kis qadar kaamyab hain hum log hum pe tarikh-e-asr nazan hai bani-e-inqalab hain hum log husn aur ishq ki hikayat ka ek rangin bab hain hum log hum pe iman laen ahl-e-jahan aasmani kitab hain hum log subh-e-mahshar hai aankh ka khulna rahne do mahw-e-khwab hain hum log raaz-e-fitrat jo kholte hain 'bahaar' han wo hikmat-maab hain hum log