ishq mein chhed hui dida-e-tar se pahle gham ke baadal jo uthe to yahin par se pahle ab jahannam mein liye jati hai dil ki garmi aag chamki thi ye allah ke ghar se pahle hath rakh rakh ke wo sine pe kisi ka kahna dil se dard uthta hai pahle ki jigar se pahle dil ko ab aankh ki manzil mein bitha rakkhenge ishq guzrega isi rahguzar se pahle wo har wade se inkar ba-tarz-e-iqrar wo har ek baat pe han lfaz-e-magar se pahle mere qisse pe wahi raushni dale shayad sham-e-kam-maya jo bujhti hai sahar se pahle chaak-e-damani-e-gul ka hai gila kya bulbul ki ulajhta hai ye khud baad-e-sahar se pahle kuchh samajhdar to hain nash uthane wale le chale hain mujhe is rahguzar se pahle dil nahin haarte yun bazi-e-ulfat mein 'hafiz' khel aaghaz hua karta hai sar se pahle