ishq mein lazzat-e-azar nikal aati hai is bahane se shab-e-tar nikal aati hai hum tere shahr se milte hain guzar jate hain tujh se milne mein to talwar nikal aati hai khwab mein todta rahta hun ana ki zanjir aankh khulti hai to diwar nikal aati hai jab bhi aata hai koi rang zamane jaisa kuchh na kuchh surat-e-inkar nikal aati hai jab bhi karta hun khamoshi ke hawale khud ko jaane kya barsar-e-paikar nikal aati hai