ishq mein mujh ko bigad kar ab sanwarna aa gaya ho gaya nakaam lekin kaam karna aa gaya ye agar sach hai ki mujh ko ishq karna aa gaya to samajh lo roz jina roz marna aa gaya dawa-e-ishq-o-wafa par mujh ko marna aa gaya kah guzarne ki jagah ab kar guzarna aa gaya warta-e-dariya-e-gham ne aise ghote de diye dubna phir dub kar mujh ko ubharna aa gaya chand khun-aluda aansu jazb-e-daman ho gae paikar-e-sada mein gham ko rang bharna aa gaya shewa-e-ishq-o-wafa mein hum ko nakaami sahi kam se kam ye to hua be-maut marna aa gaya shauq se zulm-o-sitam ab roz dhate jaiye ahl-e-gham ko gham utha kar gham na karna aa gaya kuchh tawahhum kuchh tawaqqoa kuchh alam kuchh imbisat ishq kar ke mujh ko jina aur marna aa gaya kasrat-e-azar ne talim de di zabt ki jabr ke bais se dil ko sabr karna aa gaya ashk aankhon mein pahunch kar dil mein phir wapas gae yun samajh le chadhte dariya ka utarna aa gaya kam se kam tha ek tarah ka aasra iqrar tak lekin un ko saf ab inkar karna aa gaya rahguzar se ishq ki main aaj tak guzra nahin kis tarah kah dun mujhe ji se guzarna aa gaya husn ki nakhwat ne pahunchaya uda kar arsh tak ab to pariyon ka bhi tum ko par katarna aa gaya bahr-e-zauq-o-shauq mein ye bhi ghanimat jaaniye 'nuh' ko tufan utha kar gharq karna aa gaya