ishq ne apna karishma ye dikha kar chhoda dagh daman pe mere gham ka laga kar chhoda ai haya tu ne jo gulshan mein lutai shabnam main ne har phul ko paimana bana kar chhoda soz-e-ulfat ki qasam aatish-e-ulfat ki qasam band kamre mein mujhe tu ne jala kar chhoda meri wahshat ka sabab puchhta phirta hai wahi mujh ko jis shakhs ne diwana bana kar chhoda kaun si bazm rahi aah wafa se khali har jagah 'josh' ne tufan utha kar chhoda