isi jahaz ke sahra mein dub jaane ki khabar mili thi mujhe khwab mein khazane ki bahut se dida o nadida khwab samne the ek aisi samt thi karwat mere sirhane ki main is jagah pe jo ek din palat ke aaya to koi bhi chiz nahin thi mere zamane ki har ek kaam suhulat se hota rahta tha koi khalish nahin hoti thi kar dikhane ki main ek khayal ka khema lagae baitha tha bahut jagah thi mere pas sar chhupane ki wo kya khushi thi jo dil mein bahaal rahti thi magar wajh nahin banti thi muskurane ki ek aise waqt mein wo donon ho gae aabaad jahan kisi ko ijazat nahin thi aane ki ajib dasht tha jo mujh se dad chahta tha qarib phaile hue dur ke zamane ki tamam shahr mein puri tarah khamoshi thi mujhe padi thi koi git gungunane ki