isi sabab se teri aarzu ziyaada hai

isi sabab se teri aarzu ziyaada hai
tu be-wafa hai magar khub-ru ziyaada hai

sukun milta nahin hai mujhe kisi surat
wo dard le ki teri justuju ziyaada hai

jahan se guzren wahi raushni hai phaili hui
jidhar bhi dekhen wahi ru-ba-ru ziyaada hai

tera khayal main khud se ziyaada rakhta hun
to kya ye sach hai ki ab mujh mein tu ziyaada hai

bahate rahte hain aankhon se ashk ki surat
hamari aankh mein shayad lahu ziyaada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close