isi surat se taskin-e-dil-e-nashad karte hain abhi tak yaad aate ho abhi tak yaad karte hain tabahi par hamari shikwa-e-sayyaad karte hain chaman mein hain kuchh aise bhi jo hum ko yaad karte hain mohabbat nam hai us ka talluq nam hai us ka na hum aazad hote hain na wo aazad karte hain wafa ka nam jab uth jaega bedard duniya se wo roenge bahut hum ko jo ab barbaad karte hain zamane se nirala hai karam sayyaad-o-gulchin ka jala kar aashiyan kahte hain ab aazad karte hain qafas hi ab nasheman hai qafas hi sahn-e-gulshan hai asiron se kaho kyun minnat-e-sayyaad karte hain samajh rakkha hai bazicha unhon ne dil ki duniya ko kabhi aabaad karte hain kabhi barbaad karte hain kabhi apna samajh kar jin ko sine se lagaya tha ajab aalam hai 'arif' wo hamein barbaad karte hain