isko koi gham nahin hai jis ka ghar patthar ka hai

is ko koi gham nahin hai jis ka ghar patthar ka hai
kya karega tez tufan baam-o-dar patthar ka hai

aise insan se kabhi ummid kya rakhe koi
dekhne mein aadmi hai dil magar patthar ka hai

kaun sa hai shahr jis mein main bhatak kar aa gaya
raste patthar ke hain aur baam-o-dar patthar ka hai

aa gae hain aag ki zad mein hazaron jhonpade
mujh ko lekin hai tasalli apna ghar patthar ka hai

apne daman mein chhupaen kyun nahin bachche inhen
hain sabhi tute khilaune phir bhi dar patthar ka hai

un se ummid-e-wafa rakhna bhi 'nayyar' hai fuzul
be-murawwat sab ke sab hain aur nagar patthar ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close