itna bhi ai khuda mujhe mashhur tu na kar main bhul jaun tujh ko bhi maghrur tu na kar main tujh se duriyon ki talabgar hun magar ye iltija bhi hai ki mujhe dur tu na kar wo raushni hi kya jo basarat ko chhin le aankhon ko ai khuda meri be-nur tu na kar duniya ke samne kabhi phailaun apne hath parwardigar itna bhi majbur tu na kar talib rahun main ilm ki ta-umr ta-hayat dil mein ye jo talab hai use dur tu na kar