itna hasin jo kah diya tum ho nahin jo kah diya kahte to ho ki shukr hai kya hai yaqin jo kah diya yunhi nahin jo sun liya yunhi nahin jo kah diya kya wo bhi likkha jaega kuchh bhi kahen jo kah diya ab rahna ban kar aasman mujh ko zamin jo kah diya tum ne bhula di baat par hum hain wahin jo kah diya