itna jaan-soz mere shahar ka sannaTa hai

itna jaan-soz mere shahar ka sannata hai
mujh ko viranon ki taqdir pe rashk aata hai

sar pe jalti hui ek dhup hai ta-hadd-e-nazar
mera saya mere qadmon pe chhupa jata hai

'mir'-o-'ghaalib' ki riwayat se bad-zan shair
be-irada bhi usi rah par aa jata hai

kanp jata hun ki badhne ko hain gham ke sae
jab koi lamha masarrat ba-kanar aata hai

jaane wo lamha kab aaega meri hasti mein
dil mein jo aas ki qindil jala jata hai

qasr-e-mustaqbil-e-raana bhi banao yaro
ji bahut mazi ke khandaraat se ghabraata hai

jaane kya baat hai is dharti ka chehra 'mehdi'
khun mein dub ke kuchh aur nikhar jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close