itna koi jahan mein kabhu bewafa na tha milte hi mere mujh se ye dil aashna na tha ab jun sarishk khak se sakta nahin hun uth aage main dil ki aankh se itna gira na tha naseh jo ye nasihat-e-be-ja na main suni mazur rakh tu mujh ko mera dil baja na tha marne ki tarah main ne jo ye ikhtiyar ki dekha to zindagi mein maza kuchh raha na tha jo kuchh kahen ye tujh ko 'yaqin' hai saza teri banda jo tu buton ka hua kya khuda na tha