itna na mai-kashi ka kisi par khumar ho apna hi dar lage miyan dozakh ka dwar ho itne taras gae hain mohabbat ko hum habib jis shakhs se mila do hamein us se pyar ho us shakhs ke khushi se marasim baja nahin jis par gham-e-jahan ka dar-o-madar ho chaaragari bhi dekhiye nakaam ho gai ab to khabar karo hamein didar-e-yar ho