itne tanha hain ki ab phirte hain hum dhupon mein

itne tanha hain ki ab phirte hain hum dhupon mein
sath saya ho to kuchh baat karen raston mein

ai bahaar is ko na de saya-e-gul mein aawaz
hai hawa-e-chamani udte hue patton mein

tu dikhani nahin deta to shikayat kaisi
teri aawaz to aati hai meri sanson mein

mera chehra kisi ujde hue ghar ki surat
aur dhuan bujhte charaghon ka meri aankhon mein

aa dikhaun tujhe main apna gulistan pyare
kis qadar phulon ke chehre hain mere zakhmon mein

kyun mita di hai bana kar meri hire ki lakir
sang dhona hi jo likkha tha mere hathon mein

ai peshawar main musafir to nahin hun lekin
sar jhukae hue phirta hun teri galiyon mein

kab teri aankh mein thi karb ki ye lo 'hashami'
thi kahan chot ki aawaz teri baaton mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close